We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Suno

by Bayaan

/
  • Streaming + Download

    Includes unlimited streaming via the free Bandcamp app, plus high-quality download in MP3, FLAC and more.

    Buy the full album and not only do you get the album in high-quality FLAC format, you also get an unplugged version of Khel Tamasha in high-quality FLAC!
    Purchasable with gift card

      €7 EUR  or more

     

1.
Azhik 01:29
2.
Bekhabar 04:56
Merey musafir chalo Zara beetay pal se aagay jhaank lein Jo naa mil saka Usay zindagi ka hasil kya kahein Sun raha hun goonj dharkan ki Kesay dil ko pathhar maan lu? Keh rahi hai, "saanson ki qasam Bekhabar, zinda ho tum" Zinda ho tum Zinda hu mein Zinda hu mein Dairon mein ghoomtay ho Kis ghari ko dhoondtay ho Aik pal ko thehr jana Jo kabhi fursat milay tou Kin se shikwa hai ghamon ka? Kin se hain khushyaan juri? Jesay bhi guzray thay din vo Zindagi mein ab nahein Aaj phir sanson ki dhun hai Aaj phir zinda ho tum... Zinda ho tum Zinda hun mein Zinda hun mein
3.
Mera Musafir 04:51
Kaalay baadlon se chaand yun Kisko hai zameen pe taakta Niklay rom rom se khushi Layke aansunon  ka raasta Door ik nadi k shor mein Behti hai rawaan zindagi Manchali hawa mein jhoomti Raat ye kahay, "aane wali ab subha hai" Ankhon mein jo roshni hai Aane wala kal haseen hai Intezaar jiska tha vo hai aagaya Chahe jesi bhi dagar ho Khouf ho na ab fikar ho Humsafar qaraar dil ko dila gaya Ek ehsaas hai, sardiyon ki dhoop si naram Thaamay haath yun Aik doosray ke saath hum Paar us nadi ke waqt bhi Muntazir hai raah mein khara Manchali hawa k dosh pe, rakh k hum qadam Ur chalein naye jahan mein Ankhon mein jo roshni hai Aane wala kal haseen hai Intezaar jiska tha vo hai aagaya Chahe jesi bhi dagar ho Khouf ho na ab fikar ho Humsafar qaraar dil ko dila gaya
4.
Jaag 01:57
5.
Tifl 05:51
Tifl, utho, aankhein kholo Din charh aaya hai Sooraj raah dikhanay ko Kirnein laaya hai Duniya sapnon ki dikhlaaoon Ungli thaam ke Chupkay se Chal ankhein qadmon pe rakh ker Pathhar koi larkhara day naa Duur hai dair lagaygi par Manzil yeh jaaega raasta Kaisi jagah hogi Jis ke hain raastay Aise kathin aur duur? Hongi wahan pariyaan? Kya mujhse woh kheleingi? Jhoola jhulaaengi? Jaadu ke rangon se har su Khushiyaan chaaengi Jhoolay baad'lon k deingi Pariyaan gaaeingi Gungunaake Chal ankhein qadmon pe rakh ker Pathar koi larkhara day naa Duur hai dair lagaygi par Manzil ye jaaega raasta Chal ankhein qadmon pe rakh kar Pathar koi larkhara day na Duur hai dair lagaygi par Manzil ye jaaega raasta
6.
Teri Tasveer 04:58
Teri tasveer bana kar rungg bharun Har pal ko teri jaageer karun Neendon ke bina raatein meri Kis sapnay ki taabeer karun Kuch bhi na dikhay, ghayab jo tum Andheyron pe tehreer likhun Aajao agar saansein meri Peiron ki tere zanjeer karun Raasta konsa, jo chunuun tou le jaaega Uss nagar, uss jagah, jahan yaar hai jaaker chupaa Ab bata, aey khuda
7.
Daira 02:11
8.
Paani aur mitti Kahan tak aagaye ho tum Daairay mein dortay dortay Mazay mein beykhudi mein gum Badalti Kainaat mein waheen kharay ho tum Paani aur mitti Kahan tak aagaye ho tum Daairay mein dortay dortay Mazay mein beykhudi mein gum Yeh jo khwaabon mein saraab dhoondtay ho tum Badalti kainaat mein waheen kharay ho tum Rehem dil andar naheen Chaabi hai par dar naheen Symt hai beyraasta Shukr se beywaasta Masjid hai eemaan gum Hai mitti insaan gum
9.
Suno 04:51
Suno Ye fikar maangta hai Sabar maangta hai Ye tanhai ki dhoop mein jalta marta Ye chaaon ka pyaasa shajar maangta hai Suno Ke ye aasaan nahi hai Ke beithay bithaaey, bina rasm toray, bina khoon' jalaey Jo sadiyon se aqlon pe parday paray hain bina vo hataye ye milta nahi hai Suno Gar khuda unka hai to phir vo kon hai jo mujhse mukhatib hai? Jo meri harkaton pe mutmain nigaahon se shokh aise hansta hai Jesay maa ka dil apne nanhe se bachhe ke masoom ghusse pe pyaar ki phuaar se qehqahe lagata hai Suno Ke ye zindagi to lamha hai Lahma jisme tum bedaar ho, dil bedaar hai Or tum dil hi tou ho Lamha jo ke faani hai Sabko mout aani hai Tab naa rasm, naa vo log, naa vo soch, kuch nahi hoga Aur yaad hoga bus vo pal Jisme zindagi jee thi Jisme dil ki suni thi

about

Bayaan's debut full length release!

credits

released February 11, 2020

Artwork: Imad Awan

Album produced by: Mekaal Hasan, Farhan Zameer and Rakae Jamil

license

all rights reserved

tags

about

Bayaan Lahore, Pakistan

Pakistani band consisting of 5 friends navigating through life and making noise together.

Winner of Pepsi Battle of the Bands Season 3.

contact / help

Contact Bayaan

Streaming and
Download help

Report this album or account

If you like Bayaan, you may also like: